Shaikhul Islam Muhammad bin Abdul Wahhab bin Sulaiman Shamimi rahimahullah ne logon ke deen wa aqeeda ki islah wa hifazat ki khatir bahut se chhote chhote risaalelikhe hain, yeh rasail mukhtasar hone ke bawajood bahut mufeed hain aur Allah ta'ala ne unhen awam w khawas mein khaas maq. buliyat se nwaza hai, Ulama In rasail ki tadrees wa sharah ka ehtemaam karte hain to awam aur talba unhen sun kar aur yaad karke un se mustafeed hote hain.
Un mukhtasar rasail mein se teen rasail par mushtamil yeh kitaab Urdu Qalib mein Hadia e qareaeen karne ki Sa'adat haasil ki jarahi hai.
In rasail ke tarjume mein baaz tarjimon ke sath bataur kha- as Imam Masjid e Nabawi Dr Abdul Muhsin bin Muhammad Al Qasim hafizahullah ki jama kardah mutooon saamne rakhi gayi hain.
Koshish ki gayi hai ke tarjuma aasaan aur salees ho aur aam log ba-asani is se mustafeed hosakein.
Yeh rasail apni taleef ke din se har daur mein mufeed rahe hain aur log is se faida uthate rahe hain, lekin imaan aur aqe- eda ke hawale se roz ba roz saamne aane waale nit naye mas- ail aur aazmayishon ke is daur mein in ki ifadiyat ki ahmiyat w qeemat bahut badh jaati hai.
Allah ta'ala se du'a hai ke woh is haqeer koshish ko qabool farmaye aur is se ziyada se ziyada logon ko nafa pahunchaye, ameeen.
Author : Farhat Hasshmi / Al-Huda Sho’ba-e-Tahqeeq |
Publisher : Maktaba Al Usaid |
Language : Arabic / English / Urdu |
Binding : Paperback |
Pages : 130 |
Product Dimensions (cm) 14*21 |